UdharApp

Kaise Use Kare?

Udhar App chalana bohot asan hai — 3 step me

1

Customer add karo: Naam likho aur uska udhar likh do

2

Paisa wapas aaye to Jama pe click karke minus kar do

3

Saare hisab ek jagah dekho — koi hisab miss nahi hoga

Hisab delete ho gaya to kya karun?
Phone me hi save hota hai, delete hone par wapas nahi aata. Is liye roz ka backup le liya karo. Contact pe message bhejo, help kar denge.
App free hai ya paise lagte hain?
100% free hai. Koi charge nahi, lifetime free.
Internet chahiye kya?
Nahi, bina internet ke bhi chalti hai. Sara hisab phone me save hota hai. Internet sirf contact karne ke liye chahiye.
Data safe hai?
Haan, sara data aapke phone me hai, hum server pe nahi bhejte. Privacy Policy padh sakte ho.
Abhi bhi masla hai? Contact karo

© 2026 Udhar App — Dukandar ka apna hisab kitab app